Wawaila Lyrics Nadeem Sarwar 2024

Noha Wawaila 2024 mein mashhoor noha khwan Nadeem Sarwar ne apni aawaz mein pesh kiya. Iske alfaaz Nadeem Sarwar aur Jawad Jaffri ne likhe, jabke comp
Noha Wawaila 2024 mein mashhoor noha khwan Nadeem Sarwar ne apni aawaz mein pesh kiya. Iske alfaaz Nadeem Sarwar aur Jawad Jaffri ne likhe, jabke composition Ali Shanawar aur Ali Jee ke saath mil kar ki gayi. Yeh noha Nadeem Sarwar ke 2024-25 ke album ka hissa hai.

wawaila, wawaila lyrics, wawaila noha, wawaila noha lyrics, nadeem sarwar, ali shanawar, ali jee

Lyrics

Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s)  

Yabna Zahra Wa Vaila  

Wa Vaila, Wa Vaila  
Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila  
Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila  

Aal-e-Rasool (s.a.w)  
Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila  

Allah ke pyare hain, Zahra ke taare hain  
Kyoon ho rahi hai in par jor o jafa, Wa Vaila  

Karbala mein pyase hain Aal-e-Rasool (s.a.w), Wa Vaila  

Wa Vaila, Wa Vaila  
Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila  
Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila  

Karbo bala hai, khooni fiza hai  
Kunba Nabi (s.a.w) ka khoon ro raha hai  
Darya ko ghere fauj-e-jafa hai  
Aur kab se pyasi Aal-e-Aba, Wa Vaila  
Karbala mein pyase hain Aal-e-Rasool (s.a.w), Wa Vaila  

Allah ke pyare hain, Zahra ke taare hain  
Kyoon ho rahi hai in par jor o jafa, Wa Vaila  

Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s)  

Kaisa samaan hai, dil ro raha hai  
Kis ke liye yeh maqtal saja hai  
Woh jo Nabi (s.a.w) ka maah-e-laqa hai  
Us par hai jari jor o jafa, Wa Vaila  
Karbala mein pyase hain Aal-e-Rasool (s.a.w), Wa Vaila  

Wa Vaila, Wa Vaila  
Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila  
Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila  

Ek din mein ujra ghar Fatima (s.a) ka  
Hai paara paara dil Mustafa (s.a.w) ka  
Aghaaz hai yeh Karbo bala ka  
Arz o samaa mein maatam bapa, Wa Vaila  
Karbala mein pyase hain Aal-e-Rasool (s.a.w), Wa Vaila  

Allah ke pyare hain, Zahra ke taare hain  
Kyoon ho rahi hai in par jor o jafa, Wa Vaila  

Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s)  

Piyasi Sakina mashkeeza thaame  
Lipti hui hai apne chacha se  
Masoom bachi noha kona hai  
Pani le aao pyaare chacha, Wa Vaila  
Karbala mein pyase hain Aal-e-Rasool (s.a.w), Wa Vaila  

Wa Vaila, Wa Vaila  
Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila  
Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila  

Naam-e-Khuda par, deen-e-Khuda par  
Qurbaan hoga pyason ka lashkar  
Aun o Muhammad, Abbas o Akbar  
Qasim o Asghar honge fida, Wa Vaila  
Karbala mein pyase hain Aal-e-Rasool (s.a.w), Wa Vaila  

Allah ke pyare hain, Zahra ke taare hain  
Kyoon ho rahi hai in par jor o jafa, Wa Vaila  

Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s)  

Roz-e-Ashoora, Mahshar bapa tha  
Ek din mein saara ghar lut gaya tha  
Mazloom, pyaasa tanha khada tha  
Maqtal mein Zahra ki thi sada, Wa Vaila  
Karbala mein pyase hain Aal-e-Rasool (s.a.w), Wa Vaila  

Wa Vaila, Wa Vaila  
Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila  
Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila  

Yabna Zahra Wa Vaila  

Haye Shaheed-e-Karbo bala, Yabna Zahra Wa Vaila  

Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila, Wa Vaila  
Ya Ali (a.s)  
Haye, Haye, Haye, Haye, Haye, Haye, Haye, Haye

Poetry: Nadeem Sarwar & Jawad Jaffery

إرسال تعليق