Shaam Haaye Shaam Noha Lyrics in Urdu

Read the writeups of noha Shaam Haaye Shaam lyrics in urdu text. Noha on Bibi Zainab (s.a). Shahadat bibi Sakina (s.a).

Read the writeups of noha Shaam Haaye Shaam lyrics in urdu text. Noha on Bibi Zainab (s.a). Shahadat bibi Sakina (s.a).

shaam Haaye shaam, noha lyrics in urdu, nadeem sarwar, farhan ali waris, mir hasan mir, hasan sadiq, qurban Jaffery


Shaam Haaye Shaam Lyrics

Teri Ummat ke zewar pehen kar
Dekho bhaiya chali hoon main Shaam

Main deti kafan tujh ko bhaiya
Gar sar pe rida mere hoti
Gar hote khule haath mere
Tere zakhmon ko haathon se dhoti
Paaband-e-rasan, sar barhana
Dekho nana chali hoon main Shaam

Tere bachon ko le kar gayi main
Shab bhar saari roti rahi hoon
Kabhi Ghazi ka lehja badal kar
Main pehre bhi deti rahi hoon
In bewa, bahu, betiyon se
Kyun karte nahi ho kalaam

Mere Abid pe taari ghashi thi
Aur Kulsoom sehmi khadi thi
Kabhi dekhun main zakhmi Sakina
Jis ke daaman mein aag lagi thi
Kabhi ro’oon main apni rida ko
Kabhi dekhun main jalte khayam

Haaye nana main kaise sunaun
Darbaar-e-shaqi ka woh manzar
Sabhi qaari o haafiz the baithe
Aur sar pe na thi mere chadar
Haaye nana teri betiyon ko
Yun laaye hain sar nange aam

Jis Zainab ko tum ne baradar
Kabhi nazrein utha kar na dekha
Haath rassi mein mere bandhe hain
Aur sar par nahi mere chadar
Kaise Kufa mein jaungi Ghazi
Jab majma mein aaye ga naam

Jaise darbaar paas aa raha hai
Mera dil doobta ja raha hai
Main to ghar mein bhi kam bolti thi
Bhai, tum ko to sab kuch pata hai
Kis tarah se kare gi bata do
Ek sharabi se Zainab kalaam

Jab roti thi baali Sakina
Aur baba ko apne bulaati
Main deti thi us ko tasalli
Aur seene pe apne sulaati
Dhoond zindan mein masoom bachi
Le le ke woh baba ka naam

إرسال تعليق