Tum Shaam Aana Baba Lyrics - Nadeem Sarwar

Nadeem Sarwar noha on Hazrat Sakina (s.a) album 2024 Tum Shaam Ana Baba Lyrics in roman English. Also you can download audio MP3 noha Shahadat poetry
Nadeem Sarwar noha on Hazrat Sakina (s.a) album 2024 Tum Shaam Aana Baba Lyrics in roman English. Also you can download audio MP3 noha.

tum shaam ana baba, tum sham ana baba lyrics, nadeem sarwar, noha lyrics, nohay 2024, 2024





Lyrics

Haae Sakina Haae Haae Masooma

Mein Karb-o-bala Nai Aa Sakti Baba, Baba
Tum Shaam Aana Baba

Ab Milnay Apni Beti Se
Zindaan Aana Baba
Tum Shaam Aana Baba

Zindaan Yeh Mujh Ko Raas Nahi
Ab Jeeney Ki Koi Aas Nahi
Be Chain Hon Tum Jo Paas Nahi
Nai Tum Ko Haal Suna Sakti Baba, Baba
Tum Shaam Aana Baba
Ab Milnay Apni Beti Se
Zindaan Aana Baba
Tum Shaam Aana Baba
Haae Sakina Haae Haae Masooma

Mein Kamsin Syed Zadi Aan
Taidi Baba Mein Shehzadi Aan
Tairay Baad Mein Baba Rel Gayi Aan
Mein Mittiyan Te Nai So Sakti, Baba, Baba
Tum Shaam Aana Baba
Haae Sakina Haae Haae Masooma
Mein Karb-o-bala Nai Aa Sakti Baba, Baba
Tum Shaam Aana Baba

Baba Abbas Nahi Akbar Bhi Nahi
Aur Paas Mera Asghar Bhi Nahi
Pardais Hai Apna Ghar Bhi Nahi
Nai Dil Apna Behla Sakti Baba, Baba
Tum Shaam Aana Baba
Ab Milnay Apni Beti Se
Zindaan Aana Baba
Tum Shaam Aana Baba
Haae Sakina Haae Haae Masooma

Barray Mushkil Safar Nibhaye Hain
Har Mourr Pay Pathar Khaye Hain
Be Jurm Tamaache Khaye Hain
Nai Zakham Tumhe Dikhla Sakti Baba, Baba
Tum Shaam Aana Baba
Haae Sakina Haae Haae Masooma
Mein Karb-o-bala Nai Aa Sakti Baba, Baba
Tum Shaam Aana Baba

Mera Kunba Ae Sara Qaidi
Baqar Sajjad Bhara Qaidi
Mein Aap V Haan Baba Qaidi
Mein Rasiyaan Nai Khulwa Sakti Baba, Baba
Tum Shaam Aana Baba
Ab Milnay Apni Beti Se
Zindaan Aana Baba
Tum Shaam Aana Baba
Haae Sakina Haae Haae Masooma

Mein Jab Se Aap Se Bichrri Hon
Bas Ki Yaad Mein Roti Hon
Din Raat Sadayen Deti Hon
Mein Aap Ke BiN Nahi Reh Sakti Baba, Baba
Tum Shaam Aana Baba
Haae Sakina Haae Haae Masooma
Tum Shaam Aana Baba

Poet: Jawad Jaffery

إرسال تعليق