Qaidi Ka Janaza Hai Lyrics - Qurban Jafri

Let's check the lyrics of noha Qaidi Ka Janaza Hai Lyrics in Urdu text. Recited by Qurban Jafri. This noha written by Qurban Jafri on 25 Rajab Shahada
Let's check the lyrics of noha Qaidi Ka Janaza Hai Lyrics in Urdu text. Recited by Qurban Jafri. This noha written by Qurban Jafri on 25 Rajab Shahadat Imam Musa Kazim.

Qaidi Ka Janaza hai, noha lyrics in urdu, Qurban jafri, noha writeups




Lyrics

Qaidi Ka Janaza Haii Zakhmii Ka Janaza Hai Aahista Uthao.
Paiwest Ho Chukin Hain Zanjeerain Jo Badan Main Unn Ko Na Hilao.
Aye Kalma Parhne Walo Main Bint-e-Mustafa Hoon.

Maiyyat Wasool Karney Chor Aayi Baqiya Hoon.
Bey Jurm Ka Janaza Baloon Sey Youn Pakar Kar Bahir Tu Na Lao.
Ghusal-o-Kafan Ka Tum Sey Hargiz Nahi Kahon Gi.

Kazim Ki Bey Basi Ka Matam Sada Karon Gi.
Ghusal-o-Kafan Nahi Do Beyta Tu Mera Dey Do Kuch Taras Tu Khao.
Kaisa Ye Tum Ne Iss Ko Zalim Zehar Diya Hai.
Aankhon Sey Khon Ab Tak Iss Ka Nahi Ruka Hai.
Aye Taziyane Walo Ye Kab Ka So Chuka Hai Aisay Na Jagao.


Tum Ne Banai Hum Par Baghdad Ki Deywarein.
Hain Merey Kamsino Ki Deywaron Main Mazarein.
Iss Shehar Main Main Logo Ro Ro Key Thak Chuki Hoon Na Our Rulao.

Yasrab Main Beytiyon Ko Hai Intezar Iss Ka.
Hai Beytiyon Ki Khatir Tan Bey Qarrar Iss Ka.
Yasrab Nahi Magar Bas Baghdad Walay Pul Tak Tum Iss Ko Ley Jao.

QURBAN Syeda Key Ye Bain Aa Rahe They.
Turbat Main Mustafa Bhi Aanso Baha Rahe They.
Beykas Ka Bey Khata Ka Kazim Ka Bey Nawa Ka Koi Jurm Batao.

Poet: Qurban Jafri
Noha Khuwan: Qurban Jafri
Noha Volume: Qurban Jafri 2020-21


Qaidi Ka Janaza hai, noha lyrics in urdu, Qurban jafri, noha writeups


Post a Comment