Posts

Main Alamdar Lyrics - Nadeem Sarwar Noha 2024

Nadeem Sarwar old noha 2024 Main Alamdar Lyrics in Roman English, Poetry on Hazrat Ghazi Abbas Alamdar by Jawad Jaffery. Download Main Alamdar Noha MP3 Audio file.

main alamdar, main alamdar lyrics


Main Alamdar Lyrics

Ba Wafa Ya Abbas
Alamdar , Alamdar

Dekho Woh Tarai Mein Hai Ik Mard Wafadar
Rakhay Hai Ilm Dosh Pay Peyason Ka Tarafdar

Hai Gungi Isi Sher Ki Ghazi Ki Yeh Lalkaar

Gir Ijazat Day Hussain Arsh Hila Sakta Hon
Iss Ilm Se Nai Tareekh Bana Sakta Hon

Haan Mein Alamdar

Mein Ho Abbas Ali Mein Wafaon Ka Walii
Baat Jab Meri Chali Goonj Utha Ali Ali
Haan Meri Wafa Ali Ada Ali Sada Ali
Haan Meri Aba Ali Quba Ali Nawa Ali
Main Agr Chahun To Ek Hashar Uttha Sakta Hun
Jalva Haider Qarar Dikha Sakta Hon
Haan Mein Alamdar

Abbas Ya, Abbas Ya, Abbas Ya Alamdar
Ilm Alamdar , Alamdar

Mein Alamdar Hussain Mein Hon Salaar Hussain
Mein Wafa Daar Hussain Mein Hon Gham Khawar Hussain
Haan Mera Shahِ Mnh Jaan O Dalam Hussain Hussain
Haan Mera Jaho Hashim Mera Bharam Hussain Hussain
Shan-e Shabir Hai Kya Aaj Bta Sakta Hon
Tum Ko Aadaab Hussaini Mein Sikha Sakta Hon
Haan Mein Alamdar

Gir Ijazat Day Hussain Arsh Hila Sakta Hon
Iss Ilm Se Nai Tareekh Bana Sakta Hon
Haan Mein Alamdar

Yeh Muqaddar Hai Mera Yeh Ilm Mujh Ko Mila
Mein Ilm Daar Wafa Haider Karb-o-bala
Yeh Ilm Khula Rahay Uttha Rahay Saja Rahay
Yeh Ilm Jama Rahay دٹا Rahay Sada Rahay
Isi Darya Pay Ilm Apna Saja Sakta Hon
Aur Katay Hathon Se Parcham Yeh Uttha Sakta Hon
Haan Mein Alamdar

Abbas Ya, Abbas Ya, Abbas Ya Alamdar
Ilm Alamdar , Alamdar

Mein To Aaya Hi Nahi Jung Larnay Ke Liye
Mashq Bhrni Hai Mujhe Pyase Bachon Ke Liye
Hai Yeh Wada Hai Sakina Se Nibhana Hai Mujhe
Pani Lyna Hai Kisi Sey Bi Naw Larna Hai Mujhey
Mujh Ko Larna Jo Para Kya Hon Bta Sakta Hon
Ghaat Se Laakh Ke Lashkar Ko Bagha Sakta
Hoon Mein Alamdar

Gir Ijazat Day Hussain Arsh Hila Sakta Hon
Iss Ilm Se Nai Tareekh Bana Sakta Hon
Haan Mein Alamdar

Aaya Darya Pay Jarry Kanp Utthee Fouj Shakki
Yeh Hai Abbas Jarry Ya Hai Waqea Hi Ali
Bhaag Utthee Fouj Jfaa Ghazi Jidhar Jidhar Mura
Jis Ka Mun Jidhar Uttha Bhaga Gira Nahi Ruka
Bola Abbas Jarry Tegh Uttha Sakta Hon
Karbalaa Mein Tumhe Safin Dikha Sakta Hon
Haan Mein Alamdar

Abbas Ya, Abbas Ya, Abbas Ya Alamdar
Ilm Alamdar , Alamdar

Bhar Ke Mashkiza Chala Jab Alamdar Wafa
Aa Gayi Fouj Jfaa Gir Gaya Maula Mera
Haan Woh Mashkiza Chhida Baazu Kata Pani Baha
Ghazi Reti Pay Gira Shore Qayamat Tha Bapa
Aayi Ghazi Ki Sada Jaan Luta Sakta Hon
Kaisay Pani Ke Bina Khaimoun Mein Ja Sakta Hon
Haan Mein Alamdar

Gir Ijazat Day Hussain Arsh Hila Sakta Hon
Iss Ilm Se Nai Tareekh Bana Sakta Hon
Haan Mein Alamdar

Abbas Ya, Abbas Ya, Abbas Ya Alamdar
Ilm Alamdar , Alamdar
Ba Wafa Ya Abbas

Post a Comment