Ik Ghareeb-ul-Watan Qaid Main Mar Gaya Lyrics - Mir Hasan Mir

Mir Hasan Mir 2010-11 old noha Ik Ghareeb ul Watan Qaid Main Mar Gaya Lyrics. This noha on 25 Rajab Shahadat Imam Musa Kazim poetry by Mir Takallum Mi
Mir Hasan Mir 2010-11 old noha Ik Ghareeb ul Watan Qaid Main Mar Gaya Lyrics. This noha on 25 Rajab Shahadat Imam Musa Kazim poetry by Mir Takallum Mir.

mir hasan mir, 25 rajab Noha Lyrics, noha lyrics in urdu




Lyrics

Ek Ghareeb-ul-Watan Qaid Main Mar Gaya.
Pul Peh Bagdad Key Hai Janazah Rakha.

Khon Aankhon Sey Apni Bahatey Howay.
Hath Kari Beyriyaan Tooq Pehney Howay.
Qaid Sajjad(A.S) Ki Yaad Karta Howa.

Jiss Key Athara Beytay Jawaan Saal They.
Uss Ki Maiyat Ko Mazdoor Ley Kar Chalay.
Bain Karti Chali Sath Main Syedah(S.A).

Ajnabhi Shehar Hai Door Ahl-e-Watan
Terey Baba(A.S) Ko Koan Dey Ghusal-o-Kafan.
Ayo Jaldi Watan Sey Imam-e-Raza(A.S).

Sabar Karna Hai Sugrah(S.A) Key Jaisa Tujhe.
Rasta Deykhna Baap Ka Choor Deyy.
Ja Key Masomae-Qum Sey Keyh Deyy Hawa.

Qaid Main chal Basa Shah-e-Koon-o-Makaan.
Aab Tu Mazloom Ki Khool Do Beyriyaan.
Tum ney Chaha Tha Jo Lo Wohi Ho Gia.

Lash Par Bhi Nahi Roneyy Wala Koi.
Waris-e-Deyen Ki Hayee Bey Warisi.
Dhondti Hai Qaza Dafan Karney Ki Ja.

Bain Kartey TAKALLUM Sabhi Aa Gay.
Karbala Sey Madineyy Sey Or Shaam Seyy.
Chodah Barsuun Ka Qaidi Reha Ho Gia.

Poet: Mir Takallum Mir
Noha Khuwan: Mir Hasan Mir
Noha Volume: Mir Hasan Mir 2010-11

Post a Comment