Alam Ko Uncha Rakhna Hai Lyrics - Ali Jee

Ali Jee new Noha 2024 Alam Ko Uncha Rakhna Hai Lyrics by Jawad Jaffery, recited by Nadeem Sarwar, Ali Jee & Ali Shanawar. Poetry on Hazrat Ghazi Abbas
Ali Jee new Noha 2024 Alam Ko Uncha Rakhna Hai Lyrics by Jawad Jaffery, recited by Nadeem Sarwar, Ali Jee & Ali Shanawar. Poetry on Hazrat Ghazi Abbas (a.s).

alam ko uncha rakhna hai, ya abbas, mola abbas, hazrat abbas, ghazi abbas, wafadar, shia poetry, ali jee noha lyrics




Lyrics

Maula Abbas Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas

Yadgar Karbalaa Hai Yeh Ilm Abbas Ka
Aaj Bhi Lehra Raha Hai Yeh Ilm Abbas Ka

Ae Sheir-e-nistaan Haider
Teri Yaad Ko Zindah Rakhna Hai
Iss Ilm Ko Ooncha Rakhna Hai

Maula Abbas Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas

Aap Dikhlatay Ho Duniya Ko Wafa Ka Rasta
Aap Bulwatay Ho Ghazi Zairoon Ko Karbalaa
Aap Millwatay Ho Shah-e-karbalaa Se Ba Khuda
Ham Sab Ka Vaseela, Ya Abbas
Ham Sab Ka Wazeefa, Ya Abbas
Ham Sab Ka Vaseela, Sab Ka Wazeefa
Sab Ne Dil Se Mana Hai
Iss Ilm Ko Ooncha Rakhna Hai

Ali Ke Noor Ain
Uummul-baneen Ke Chain
Aayi Jaan-e Hussain
Teri Yaad Ko Zindah Rakhna Hai
Iss Ilm Ko Ooncha Rakhna Hai

Maula Abbas Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas

Yeh Kkhuda Ka Hai Vaseela Sab Ka Pyara Hai Ilm
Gham Zada Logon Ka Duniya Mein Sahara Hai Ilm
Ba Kkhuda Hai Naz Ham Ko Yeh Hamara Hai Ilm
Jo Ilm Pay Aaya, Ya Abbas
Jo Manga Woh Paaya, Ya Abbas
Jo Ilm Pay Aaya, Manga Woh Paaya
Ilm Pay Jatay Rehna Hai
Iss Ilm Ko Ooncha Rakhna Hai

Ae Sheir-e-nistaan Haider
Teri Yaad Ko Zindah Rakhna Hai
Iss Ilm Ko Ooncha Rakhna Hai

Maula Abbas Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas

Aj Charchaw Hai Jahan Main Ja-Baja Abbas (a.s) Ka
Aaj Har Bzm-e-wafa Mein Tazkara Abbas Ka
Ba Kkhuda Har Qoum Mein Har Ba Wafa Abbas Ka
Har Dil Mein Hai Rehta, Ya Abbas
Dharkan Mein Dhadakataa, Ya Abbas
Har Dil Mein Hai Rehta Dil Mein Dhadakataa
Dil Mein Hamaray Rehna Hai

Iss Ilm Ko Ooncha Rakhna Hai

Be Chain Hai Kyun
Be Taab Hai Kyun
Kyun Dil Par –Apne Boj Liye
Chup Chaap Gamoon Ko Sehta Hai
To Pursa Daar Hai Ghazi Ka
Chal Aaj Ilm Par Chaltay Hain
Abbas Vaseela Hai Rab Ka
Abbas Se Keh Jo Kehna Hai
Yeh Ilm Hai Maula Ghazi Ka
Yahan Rab Ki Razaen, Millti Hain
Yahan Chodan ( ۱۴ ) Shifaen, Millti Hain
Yahan Baran ( 12 ) Adayey, Millti Hain
Yahan Paanch ( 5 ) Panahein, Millti Hain
Bas Sath Ilm Ke Rehna Hai

Jab Ilm Hai Sath To Samjhoo Ilm Wala Bhi Hai
Jab Ilm Wala Hai To Samjhoo Shah-e-wala Bhi Hai
Sath Hai Bi Bi Sakina Aur Mashqiza Bhi Hai
Yeh Ilm Jahan Hai, Ya Abbas
Haan, Mera Chain Wahan Hai, Ya Abbas
Yeh Ilm Jahan Hai Chain Wahan Hai
Sath Issi Ke Chalna Hai
Iss Ilm Ko Ouncha Rakhna Hai

Ali Ke Noor Ain
Uummul-baneen Ke Chain
Aayi Jaan-e Hussain
Teri Yaad Ko Zindah Rakhna Hai
Iss Ilm Ko Ooncha Rakhna Hai

Maula Abbas Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas

Array Lout Ker Dariya Sey Jab Aaya Na Ghazi Ba-Wafa
Zainab-O-Kulsoom Ney Di Wa-Hijaba Ki Sada
Dekh Kar Khaali Ilm Abbas Ka Maatam Howa
Zainab Ne Pukara, Ya Abbas
Wada Hai Hamara, Ya Abbas
Zainab Ne Pukara Wada Hamara
Ilm Yeh Ghar Ghar Sajjna Hai
Iss Ilm Ko Ooncha Rakhna Hai

Ae Sheir-e-nistaan Haider
Teri Yaad Ko Zindah Rakhna Hai
Iss Ilm Ko Ooncha Rakhna Hai

Maula Abbas Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas

Mere Sath Hai, Mere Sath Hai
Yeh Ilm Hamesha Sath Hai

Mera Chain Hai Sukoon Hai
Meri Raahat Yeh Ilm
Mera Sayibaan Mera Pasbaan
Meri Chahat Yeh Ilm

Mere Sath Hai, Mere Sath Hai

Mein Chaloon Kahin, Mere Sath Hai
Mein Rahon Kahin, Mere Sath Hai
Mein Chaloon Kahin Mein Rahon Kahin
Har Raste Par Har Mourr Par
Yeh Ilm Hamesha Sath Hai

Poet: Jawad Jaffery & Nadeem Sarwar

Post a Comment